hamari aankhen bhi sahib ajib kitni hain
ki dil jo roe to kam-baKHt hansne lagti hain
tumhaare shahr se chaliye ki tang-dasti ne
tumhaare shahr ki galiyan bhi tang kar di hain
ye hum hain be-hunaran dekhiye hunar-mandi
jo koi kaam karen hum to poren jalti hain
na is ka wasl mila aur na rozgar yahan
so pahle hijr-zada the aur ab ke hijrati hain
to shah-zadi ko laen wo mahw-e-KHwab hai kya
hamein yaqin nahin pariyan bhi jhuT bolti hain
Ghazal
Hamari aankhen bhi sahib ajib kitni hain
Ahmad Ata