hamari aankh mein Thahra hua samundar tha
magar wo kya tha jo sahra-e-dil ke andar tha
usi ko zulf mein Tanke ye aarzu kyun-kar
wo phul jo ki teri dastaras se bahar tha
wo waqt aaega jab KHud tumhi ye sochogi
mila na hota agar tujh se main to behtar tha
har ek ang labaalab bhara ho jaise jam
tumhaara jism tha ya mai-kade ka manzar tha
use bhi jate hue tum ne mujh se chhin liya
tumhaara gham to meri aarzu ka zewar tha
bahut qarib se dekha tha us ko ai 'azad'
wo aarzu ka meri ek hasin paikar tha
Ghazal
Hamari aankh mein Thahra hua samundar tha
Azad Gulati