hamari aankh mein naqsha ye kis makan ka hai
yahan ka sara ilaqa to aasman ka hai
hamein nikalna paDa raat ke jazire se
KHatar agarche is ek faisle mein jaan ka hai
KHabar nahin hai ki dariya mein kashti-e-jaan hai
muahida jo hawaon se baadban ka hai
tamam shahr par KHamoshiyan musallat hain
labon ko kholo ki ye waqt imtihan ka hai
kaha hai us ne to guzrega jism se ho kar
yaqin yun hai wo pakka bahut zaban ka hai
Ghazal
Hamari aankh mein naqsha ye kis makan ka hai
Shahryar