hamare zehn mein ye baat bhi nahin aai
ki teri yaad hamein raat bhi nahin aai
bichhaDte waqt jo garje wo kaise baadal the
ye kaisa hijr ki barsat bhi nahin aai
tujhe na pa sake hum is ka ek sabab ye hai
palaT ke gardish-e-haalat bhi nahin aai
hua yun hath se bazi nikal gai ek roz
hamare hisse mein phir mat bhi nahin aai
ulajh ke rah gae kya hum bhi kar-e-duniya mein
ki naubat-e-safar-e-zat bhi nahin aai
Ghazal
Hamare zehn mein ye baat bhi nahin aai
Shahram Sarmadi