اردو हिंदी
Hamare zaKHm-e-tamanna purane ho gae hain | Shaahi Shayari
hamare zaKHm-e-tamanna purane ho gae hain

Ghazal

Hamare zaKHm-e-tamanna purane ho gae hain

Jaun Eliya

;

hamare zaKHm-e-tamanna purane ho gae hain
ki us gali mein gae ab zamane ho gae hain

tum apne chahne walon ki baat mat suniyo
tumhaare chahne wale diwane ho gae hain

wo zulf dhup mein furqat ki aai hai jab yaad
to baadal aae hain aur shamiyane ho gae hain

jo apne taur se hum ne kabhi guzare the
wo subh o sham to jaise fasane ho gae hain

ajab mahak thi mere gul tere shabistan ki
so bulbulon ke wahan aashiyane ho gae hain

hamare baad jo aaen unhen mubarak ho
jahan the kunj wahan kar-KHane ho gae hain