hamare shahr mein aane ki surat chahti hain
hawaen baryabi ki ijazat chahti hain
parindon se dar-o-diwar KHali ho gae hain
meri aankhen nagar ko KHubsurat chahti hain
likhe bhi jao lauh-e-KHak par naqsh-e-udasi
ki aati saaten harf-e-shahadat chahti hain
dilon mein qaid na-asuda sari iltijaen
hisar-e-harf mein aane ki mohlat chahti hain
zabanon par likhi zaKHm-e-zaban ki lazzaten ab
dar-o-diwar par rang-e-jarahat chahti hain
bahut se KHwab in mein dhund ban kar rah gae hain
ye aankhen izn-e-girya ki saadat chahti hain
Ghazal
Hamare shahr mein aane ki surat chahti hain
Zulfiqar Ahmad Tabish