hamare sar pe ye aksar ghazab hota hi rahta hai
lahu ummid ka hum se talab hota hi rahta hai
nikalti hi nahin dil se kabhi yaaden mohabbat ki
sitam us dil pe apne roz-o-shab hota hi rahta hai
purane log rahte hain nigahon mein sada meri
koi pesh-e-nazar nam-o-nasab hota hi rahta hai
koi surat tabahi ki nikalti rahti hai aksar
ujaDne ka koi taza sabab hota hi rahta hai
hamesha KHun karte hain hamari aarzuon ka
tamannaon ka nazrana talab hota hi rahta hai
ye laDna aur jhagaDna hai sabhi mamul ki baaten
KHafa hum se wo aksar be-sabab hota hi hota hai
sitaron ki taraf uThti hi rahti hai nazar apni
shab-e-tarik mein aisa to sab hota hi rahta hai
qayamat hoti rahti hai bapa ab shahr mein har-su
yahan mahshar bapa ai dost ab hota hi rahta hai
suKHan pamal hota hai 'nabil' is ahd mein har pal
yahan pamal har lamha adab hota hi rahta hai
Ghazal
Hamare sar pe ye aksar ghazab hota hi rahta hai
Nabeel Ahmad Nabeel