hamare sar pe koi hath tha na saya tha
bas aasman tha jise jaane kyun banaya tha
kisi se sham-Dhale chhin gaya tha paya-e-taKHt
kisi ne subh hui aur taKHt paya tha
wo ek subh bahut zar-fishan thi qarye par
aur ek khet bahut sabz lahlahaya tha
bas ek bagh tha pani ke jis mein chashme the
aur ek ghar tha jise KHak se banaya tha
pukar uTThenge nabud bastiyon ke nishan
ki us nawah mein koi nazir aaya tha
Ghazal
Hamare sar pe koi hath tha na saya tha
Mohammad Izhar ul Haq