hamare sar har ek ilzam dhar bhi sakta hai
wo mehrban hai ye ehsan kar bhi sakta hai
chaman tu apni bahaaron pe itna naz na kar
shajar se husn ka zewar utar bhi sakta hai
wo jis ne zist guzari hai qaid-e-zulmat mein
wo ek kiran se ujale ki Dar bhi sakta hai
kahan tak aap lagaenge us pe zabt ke bandh
kabhi ye aankhon ka dariya biphar bhi sakta hai
ye KHak o sang hi kya sath-e-ab par 'shaarib'
hamara naqsh-e-qadam hai ubhar bhi sakta hai
Ghazal
Hamare sar har ek ilzam dhar bhi sakta hai
Sharib Mauranwi