hamare sath umid-e-bahaar tum bhi karo
is intizar ke dariya ko par tum bhi karo
hawa ka ruKH to kisi pal badal bhi sakta hai
us ek pal ka zara intizar tum bhi karo
main ek jugnu andhera miTane nikla hun
rida-e-tira-shabi tar tar tum bhi karo
tumhaara chehra tumhein hu-ba-hu dikhaunga
main aaina hun mera e'tibar tum bhi karo
zara si baat pe kya kya na kho diya main ne
jo tum ne khoya hai us ka shumar tum bhi karo
meri ana to takalluf mein pash pash hui
dua-e-KHair mere haq mein yar tum bhi karo
agar main hath milaun to ye zaruri hai
ki saf sine ka apne ghubar tum bhi karo
koi zaruri nahin hai ki sab ki tarah 'faragh'
zamane wali rawish iKHtiyar tum bhi karo
Ghazal
Hamare sath umid-e-bahaar tum bhi karo
Faragh Rohvi