hamare sath jise maut se ho pyar chale 
koi chale na chale hum to su-e-dar chale 
na daur-e-jam na ab qissa-e-bahaar chale 
unhin ka zikr chale aur bar bar chale 
ruKH-e-zamana badalne chale the diwane 
tere huzur magar kis ka iKHtiyar chale 
hayat-e-ishq ka hasil the bas wahi lamhe 
jo teri anjuman-e-naz mein guzar chale 
udhar manae gae KHub jashn-e-dar-o-rasan 
kafan-ba-dosh jidhar tere jaan-nisar chale 
ye gham nahin ki hamin ko yahan aman na mili 
KHushi ye hai ki teri anjuman sanwar chale 
hamin chaman mein payam-e-bahaar lae the 
chaman se le ke hamin hasrat-e-bahaar chale 
meri taraf se mubarak ho ahl-e-gulshan ko 
jo mere baad kabhi baad-e-nau-bahaar chale 
ye inqalab ajab hai ki mai-kade se 'shamim' 
kidhar ye tegh-ba-kaf ho ke baada-KHwar chale
        Ghazal
Hamare sath jise maut se ho pyar chale
Shamim Jaipuri

