hamare sath ajab hi muamla hua hai
hawa Thahar si gai hai diya jala hua hai
usi maqam pe ek qafila ruka hua hai
jahan tumhaara mera rasta juda hua hai
na jaane baad-e-saba kah gai hai kan mein kya
ki phul shaKH-e-burida pe bhi khila hua hai
mile ek umr ke baad aur is tarah se mile
wo chup hai aur hamara bhi sar jhuka hua hai
dayar-e-mahr ki sarhad talash karne ko
mah o nujum ka ek qafila chala hua hai
haqiqaten to aTal hain badal nahin saktin
magar kisi ki tasalli se hausla hua hai
bajae do ke baje ek hath se tali
muamalat mein aisa kabhi bhala hua hai
meri umid ka hai teri aarzu ka hai
diya hai aur baDi der se jala hua hai
umid khil si gai hai mahak uTha hai KHayal
saba ki narm si dastak pe dil ko kya hua hai
mahak raha hai mere KHar KHar jiwan mein
wo lamha jo abhi mujh mein gulab sa hua hai
Ghazal
Hamare sath ajab hi muamla hua hai
Khalida Uzma