hamare qaul o amal mein tazad kitna hai
magar ye dil hai ki KHush-e'tiqad kitna hai
ki jaise rang hi le aaega lahu apna
wafa pe apni hamein e'timad kitna hai
ye jaanta hai ki wada-shikan hai wo phir bhi
dil us ke wada-e-farda pe shad kitna hai
wo jis ne mujh ko faramosh kar diya yaksar
wo shaKHs mujh ko magar ab bhi yaad kitna hai
hai ab to sare marasim ka inhisar us par
kisi ki zat se hum ko mafad kitna hai
har ek soch hai aaluda-e-hawas yaro
ragon mein qatra-e-KHun ka fasad kitna hai
hai yun to mere raqibon mein iKHtilaf bahut
mere KHilaf magar ittihad kitna hai
Ghazal
Hamare qaul o amal mein tazad kitna hai
Murtaza Birlas