hamare pas jaanan aan pahuncha
dil-e-be-jaan kun ab jaan pahuncha
na howe kyun shor dil ki bansli mein
malahat ka salona kan pahuncha
kaman-abru ki har tirchhi nigah sin
jigar ke toDne kun ban pahuncha
dikhaya mushaf-e-ruKHsar apnan
hamara din aur iman pahuncha
mujhe kah kakrezi chire wale
ki waqt-e-sair-e-na-farman pahuncha
mai o jam o gul-e-mutrib hai maujud
bahaar-e-wasl ka saman pahuncha
dil-e-muflis ne paya wasl ka ganj
bhikari kun daras ka dan pahuncha
'siraj' ab ghar tera raushan hua hai
magar wo shama-ru mehman pahuncha
Ghazal
Hamare pas jaanan aan pahuncha
Siraj Aurangabadi

