hamare nam se un ko mohabbaten kaisi
jo mar gae to kisi se shikayaten kaisi
ujaD gae hain haweli ke sare hangame
macha rakhi hain hawa ne qayamaten kaisi
sarapa pyar hain hum to wafa-parast bhi hain
hum aise shaKHs ke dil mein kuduraten kaisi
kabhi tu KHud hi ruton ka mizaj badlega
sitam ke zard dinon se baghawaten kaisi
dilon ka zahr umaDne laga hai baaton mein
har ek lafz se uryan hain nafraten kaisi
KHizan-rasida daraKHton ke jism chhalni hain
hawa-e-shahr ne ki hain shararten kaisi
KHud apne honT chabana hi un ki aadat hai
hamare dhyan ne di hain halawaten kaisi
sada-e-zarf to kanon mein gunjti hi nahin
'niyaz' phir ye mohabbat mein wahshaten kaisi
Ghazal
Hamare nam se un ko mohabbaten kaisi
Niyaz Husain Lakhwera