hamare mai-kade ka ab nizam badlega
hum apna saqi badal denge jam badlega
abhi to chand hi mai-kash hain baqi sab tishna
wo waqt aaega jab tishna-kaam badlega
ye ulTi ulTi hawaen hain wajh-e-sust-rawi
hawaen badlengi tarz-e-KHiram badlega
badalti rahti hain qadren rahil-e-waqt ke sath
zamana badlega har shai ka nam badlega
hum apni talKH-nawai mein rang bhar denge
hamare sath hamara kalam badlega
ye arsh o farsh ki tafriq kuchh nahin 'wamiq'
buland o past ka meyar-e-KHam badlega
Ghazal
Hamare mai-kade ka ab nizam badlega
Wamiq Jaunpuri