hamare lahje mein behtar hai inkisari ho
magar zaban pe jo baat aae sab pe bhaari ho
kisi ko Thes na pahunche ye apni koshish hai
magar lage jo kisi dil pe zarb kari ho
rah-e-hayat mein shayad hi wo maqam aae
ki naghma-ha-e-junun par sukut tari ho
wafa ka zikr agar aae us ki mahfil mein
to baat jo bhi ho jaisi ho bas hamari hai
tamam-umr guzari hai us ki KHidmat mein
hamare nam ka sikka adab mein jari ho
tere karam se hamesha hi KHush raha 'anwar'
mere KHuda na kabhi lab pe aah-o-zari ho
Ghazal
Hamare lahje mein behtar hai inkisari ho
Anvar Kaifi