hamare KHwab kuchh inikas lagta hai
ye aadmi to hamein ru-shanas lagta hai
guzarishat bhi bais thin barhami ka kabhi
ab us ka hukm bhi ek iltimas lagta hai
jo apne nam se tahrir us ne bheji hai
hamare KHat ka koi iqtibas lagta hai
bila-sabab ye kare bad-guman kyun aaKHir
durust! naseh! qayafa-shanas lagta hai
wo hum se tark-e-talluq pe ab hai aamada
hamein to aap ka ye ek qayas lagta hai
KHuda kare ki hamein wo dua na koi de
hamein to kosna hi us ka ras lagta hai
tarashen pairahan ab kuchh nai zaminon mein
darida sher ka pichhla libas lagta hai
ye daur kaisa hai jis shaKHs se bhi milna ho
pareshan-haal shikasta udas lagta hai
bataen aap ko kya hai 'matin' ki pahchan
sarapa dard hai taswir-e-yas lagta hai
Ghazal
Hamare KHwab kuchh inikas lagta hai
Syed Fazlul Mateen