hamare jismon mein din hi ka zahr kya kam tha
barahna raat bhi aai to sabz mausam tha
halakaton ka sila qatilon se kya milta
ki qatra qatra lahu ka nazar mein shabnam tha
bikharne TuTne ka silsila tha rahon mein
tamam KHwabon ka tabir-nama matam tha
garan hai miTTi ka TuTa hua piyala ab
yahi wo hath hain kal jin mein saghar-e-jam tha
ghisaT rahe the zamin par hazar-ha insan
umid-o-bim ka har ek charagh maddham tha
main zindagi se shanasa hun is qadar 'ishrat'
nigah uThti thi jis samt hu ka aalam tha
Ghazal
Hamare jismon mein din hi ka zahr kya kam tha
Ishrat Qadri