hamare jism ke andar bhi koi rahta hai
magar ye kaise kahen hum ki wo farishta hai
ajib shaKHs hai wo pyas ke jaziron ka
pahan ke dhup sada maqtalon mein rahta hai
nazar hai din ke chamakte libas par sab ki
qaba-e-sham ke paiwand kaun ginta hai
hamari uryan hatheli pe ab bhi sham-o-sahar
ye kaun hai jo guhar aansuon ke rakhta hai
bichhaD gae to akele rahenge hum 'shaarib'
ki sarason sa hamara tumhaara rishta hai
Ghazal
Hamare jism ke andar bhi koi rahta hai
Sharib Mauranwi