hamare haq mein koi inqalab hai ki nahin
hamari samt khula dil ka bab hai ki nahin
wo ek sawal-e-tamanna jo bar bar hua
us ek sawal ka koi jawab hai ki nahin
waraq waraq pe tera nam jis mein likkha hai
wafa-o-mehr ki wo dil kitab hai ki nahin
tera gunah bhi waiz sawab hai lekin
hamare nek amal ka sawab hai ki nahin
tumhaare nam mere dil ki dhaDkanen jo huin
tumhaare dil mein kuchh un ka hisab hai ki nahin
hai mera zehn to taKHliq-e-KHwab mein masruf
tumhaare zehn mein tabir-e-KHwab hai ki nahin
main dil ki baat 'munawar' zarur us se karun
samaaton ki magar us ko tab hai ki nahin
Ghazal
Hamare haq mein koi inqalab hai ki nahin
Munawwar Hashmi