hamare hath the suraj nae jahanon ke
so ab zaminon ke hum hain na aasmanon ke
hazar gird laga len qad-awar aaine
hasab-nasab bhi to hote hain KHandanon ke
huruf-bin to sabhi hain magar kise ye shuur
kitab paDhti hai chehre kitab-KHwanon ke
ye kya zarur ki namon ke ham-mizaj hon log
bahaar aur KHizan nam hain zamanon ke
wo chahe aa ke na bahar kisi se baat karen
KHabar makinon ki dete hain dar makanon ke
hamari qadr ko samjhe ye asr-e-na-qadran
hum ahl-e-fan hain khilaune nahin dukanon ke
ab aisi shorish-e-bazar-e-madh mein 'mahshar'
KHamosh lahje ghanimat hain qadr-danon ke
Ghazal
Hamare hath the suraj nae jahanon ke
Mahshar Badayuni