hamare haal ki ja kar unhen KHabar to karen
wo kyun na aaenge tadbir chaara-gar to karen
karenge arz bhi kuchh chain le zara ai dil
wo anjuman mein hamari taraf nazar to karen
bahut se tishna-e-didar roz ja baiThen
magar kabhi wo sar-e-rahguzar guzar to karen
jala de shama ki manind tu mujhe ai ishq
ki aur log zara tujh se al-hazar to karen
hum un se zikr nahin karte bazm-e-ada ka
ki zikr wo hai ye manzur ho jo shar to karen
Ghazal
Hamare haal ki ja kar unhen KHabar to karen
Suraj Narayan