hamare dil mein yaadon ko saliqe se rakha jae
ki is kamre mein phulon ko saliqe se rakha jae
masihai ki phir koi zarurat hi nahin paDti
agar zaKHmon pe ashkon ko saliqe se rakha jae
dilon ki hukmarani ka ye ek achchha tariqa hai
har ek jumle mein lafzon ko saliqe se rakha jae
adab hai din-o-duniya hai chhupa hai ilm bhi is mein
mere bachcho kitabon ko saliqe se rakha jae
tera ye ghar lagega KHubsurat ai mere bhai
agar in sare rishton ko saliqe se rakha jae
wo jaane wala jaane kaun se pal lauT kar aae
abhi raste pe aankhon ko saliqe se rakha jae
barasti hai KHuda ki rahmaten un ki duaon se
gharon mein sab buzurgon ko saliqe se rakha jae
gharibi dekhti rahti hai hasrat se khaDi ho kar
dukanon mein khilaunon ko saliqe se rakha jae
paDosi ka bhi haq hai tujh pe itna yaad rakh 'mohsin'
munDeron par charaghon ko saliqe se rakha jae
Ghazal
Hamare dil mein yaadon ko saliqe se rakha jae
Mohsin Aftab Kelapuri