اردو हिंदी
Hamare dil ke aaine mein hai taswir nanak ki | Shaahi Shayari
hamare dil ke aaine mein hai taswir nanak ki

Ghazal

Hamare dil ke aaine mein hai taswir nanak ki

Shyam Sunder Lal Barq

;

hamare dil ke aaine mein hai taswir nanak ki
hamare kan ke parde mein hai taqrir nanak ki

tariq-e-rast se haT kar wo hargiz ja nahin sakta
paDi hai panw mein jis shaKHs ki zanjir nanak ki

basar ki umr apni gumrahon ki rahnumai mein
yahi thi roz-o-shab koshish bhi aur tadbir nanak ki

musaKHKHar kar liya har shaKHs ko pand-o-nasihat se
koi afsun tha ya taqrir thi tasir nanak ki

kalam-e-pand mein us ke asar tha aab-e-haiwan ka
dil-e-murda ko zinda karti thi taqrir nanak ki

pasand-taba thi us ki nasihat jumla-alam ko
dahan mein thi zaban-e-pak par tasir nanak ki

jhuka de aastan par us ke tu bhi 'barq' sar apna
hai darweshan-e-kaamil mein baDi tauqir nanak ki