hamare chehron mein pinhan hain zawiye kya kya
dabi zaban mein kahte hain aaine kya kya
jabin-e-KHak tujhe main ne KHun se sincha tha
magar ye tu ne dikhae hain daere kya kya
hamare sar ki bulandi pe waqt hairan hai
chakhe hain nok-e-sinan ne bhi zaiqe kya kya
taDap ke ruh zamin-bos ho gai warna
badan-chaTan pe uThte the zalzale kya kya
KHirad qarar jo pae to hum bhi dekhenge
hain intishaar ke daman mein masale kya kya
tera KHayal kisi saeban se kam bhi nahin
lagate rah gae suraj bhi qahqahe kya kya
shikasta KHwabon ke jab aasman khulte hain
bikharte naqsh bhi dete hain hausle kya kya
abhi bhi ghar ke larazte hue charaghon se
hawa-e-shab ne lagae hain aasare kya kya
tapish mein TuT ke patte bikhar gae 'amir'
nazar ke panw mein uThte hain aable kya kya
Ghazal
Hamare chehron mein pinhan hain zawiye kya kya
Amir Nazar