اردو हिंदी
Hamare chehre pe ranj-o-malal aisa tha | Shaahi Shayari
hamare chehre pe ranj-o-malal aisa tha

Ghazal

Hamare chehre pe ranj-o-malal aisa tha

Azhar Naiyyar

;

hamare chehre pe ranj-o-malal aisa tha
masarraton ka zamane mein kal aisa tha

faza-e-shahr mein barud ki thi bu shamil
ki sans lena bhi hum ko muhaal aisa tha

amir-e-shahr ke honTon pe paD gae tale
gharib-e-shahr ka chubhta sawal aisa tha

ba-waqt-e-sham samundar mein gir gaya suraj
tamam din ki thakan se niDhaal aisa tha

tamam ghonsle KHali the nange peDon par
hudud-e-dasht mein waqt-e-zawal aisa tha

wo jab bhi milte hain zaKHmon ke phul dete hain
hamara rabta un se bahaal aisa tha

zamin pe jhukne lagi KHud-ba-KHud har ek Dali
daraKHt karb-e-numu se niDhaal aisa tha

KHud apne aap se bhi main raha hun begana
hisar-e-dil mein kisi ka KHayal aisa tha