hamare bare mein kya kya na kuchh kaha hoga
chalenge sath to duniya ka samna hoga
wo ek shaKHs jo patthar uTha ke dauDa tha
zarur KHwab ki kaDiyan mila raha hoga
hamare baad ek aisa bhi daur aaega
wo ajnabi hi rahega jo tisra hoga
KHizan-pasand hamein DhunDne ko nikle hain
hamare dard ka qissa kahin suna hoga
jo har qadam pe mere sath sath rahta tha
zarur koi na koi to wasta hoga
nahin hai KHauf koi rahbaron se 'ashufta'
hamare sath shikaston ka qafila hoga
Ghazal
Hamare bare mein kya kya na kuchh kaha hoga
Aashufta Changezi