hamare ahd ka manzar ajib manzar hai
bahaar chehre pe dil mein KHizan ka daftar hai
na ham-safar na koi naqsh-e-pa na rahbar hai
junun ki rah mein kuchh hai to jaan ka Dar hai
har ek lamha hamein Dar hai TuT jaane ka
ye zindagi hai ki bosida kanch ka ghar hai
isi se laDte hue ek umr bit gai
meri ana hi mere raste ka patthar hai
tamam jism hain jis ke KHayal mein larzan
wo tirgi ka nahin raushni ka KHanjar hai
main ek qatra hun lekin mera nasib to dekh
ki be-qarar mere gham mein ek samundar hai
usi ke pichhe rawan hun main pagalon ki tarah
wo ek shai jo meri dastaras se bahar hai
isi KHayal se milta hai kuchh sakun dil ko
ki na-suburi to is daur ka muqaddar hai
kabhi to is se mulaqat ki ghaDi aae
jo mere dil mein basa hai jo mere andar hai
uqab-e-zulm ke panje abhi kahan TuTe
abhi to faKHta-e-aman KHun mein tar hai
KHuda ki mar ho is jehl-e-agahi pe 'hafiz'
ba-zoam-e-KHud yahan har shaKHs ek payambar hai
Ghazal
Hamare ahd ka manzar ajib manzar hai
Hafeez Banarasi