hamara maqsad agar safar hai tawil karna
shumar aise mein kis liye sang-e-mil karna
agar mohabbat ke case mein ho hamari peshi
hamari mano to apne dil ko wakil karna
hamare ghar mein jidhar se nafrat ka daKHila hai
bahut zaruri hai aise raston ko seel karna
dilon ke rishte ko ek sazish ka nam de kar
hai un ka maqsad mohabbaton ko zalil karna
hamein pata hai tumhein jo ye sab sikha raha hai
agar suno sach to pesh jhuTi dalil karna

Ghazal
Hamara maqsad agar safar hai tawil karna
Raziq Ansari