hamara ishq hai tafriq in-o-an se buland
zamin-nashin hain magar hain hum aasman se buland
bahaar KHak-ba-daman hai pastiyon mein abhi
chaman agarche umidon ka hai KHizan se buland
hayat-e-qatra hai dariya ke sath wabasta
wo uD gaya jo hua mauja-e-rawan se buland
KHiram-gah-e-nigaran agar nahin na sahi
magar main dil ko samajhta hun kahkashan se buland
mazaq-e-ishq nahin pae-band-e-dair-o-haram
hamara maslak-e-din hai har aastan se buland
'salam' hansti hui bijliyon ka toD ye hai
ki aashiyan mein raho fikr-e-ashiyan se buland
Ghazal
Hamara ishq hai tafriq in-o-an se buland
Ain Salam