hamara Dubna mushkil nahin tha
nazar mein dur tak sahil nahin tha
kahan tha guftugu karte hue wo
wo tha bhi to sar-e-mahfil nahin tha
main us ko sab se behtar jaanta hun
jise mera pata hasil nahin tha
zamane se alag thi meri duniya
main us ki dauD mein shamil nahin tha
wo patthar bhi tha kitna KHub-surat
jo aaina tha lekin dil nahin tha
hum us dharti ke bashinde the 'tabish'
ki jis ka koi mustaqbil nahin tha
Ghazal
Hamara Dubna mushkil nahin tha
Tabish Kamal