hamara dilbar-e-gulfam aaya
qrar-e-jaan-e-be-aram aaya
kamand-e-pech-o-tab-e-zulf kun khol
shikar-e-dil kun le kar dam aaya
shitabi hosh kun sar sin badar kar
junun ka mujh taraf paigham aaya
kare ta-bulbul-e-dil kun ghazal-KHwan
bahaar-e-ishq ka hangam aaya
ai zahid bhag is zulf-e-siyah sin
ye kafir dushman-e-islam aaya
birah ke mahke sin qatl-e-dil par
piyaada gham ka le ealam aaya
hui josh-e-mohabbat sin zaban band
sanam ka darmiyan jab nam aaya
bala hai tujh nigah ki saif ka war
dil-e-betab aaKHir kaam aaya
'siraj' aane mein us jadu-nazar ke
shakeb o taqat o aaram aaya
Ghazal
Hamara dilbar-e-gulfam aaya
Siraj Aurangabadi

