اردو हिंदी
Hamara dil wo gul hai jis ko zulf-e-yar mein dekha | Shaahi Shayari
hamara dil wo gul hai jis ko zulf-e-yar mein dekha

Ghazal

Hamara dil wo gul hai jis ko zulf-e-yar mein dekha

Jaleel Manikpuri

;

hamara dil wo gul hai jis ko zulf-e-yar mein dekha
jo zulfen ho gain barham gale ke haar mein dekha

bhala gul kya tera ham-sar ho jis ki ye haqiqat hai
abhi gulshan mein dekha tha abhi bazar mein dekha

basirat jab hui paida hamein mashq-e-tasawwur se
jo kuchh KHalwat mein dekha tha abhi bazar mein dekha

chaman mein ek but-e-nazuk-ada mahw-e-tamasha hai
naya gul aaj hum ne daman-e-gulzar mein dekha

'jalil' ek naz ki qimat dil o jaan din o iman hai
ajab andaz hum ne husn ke bazar mein dekha