hamara azm-e-safar kab kidhar ka ho jae
ye wo nahin jo kisi rahguzar ka ho jae
usi ko jine ka haq hai jo is zamane mein
idhar ka lagta rahe aur udhar ka ho jae
khuli hawaon mein uDna to us ki fitrat hai
parinda kyun kisi shaKH-e-shajar ka ho jae
main lakh chahun magar ho to ye nahin sakta
ki tera chehra meri hi nazar ka ho jae
mera na hone se kya farq us ko paDna hai
pata chale jo kisi kam-nazar ka ho jae
'wasim' subh ki tanhai-e-safar socho
mushaera to chalo raat bhar ka ho jae
Ghazal
Hamara azm-e-safar kab kidhar ka ho jae
Waseem Barelvi