hamara ashk nahin hai ye qadr-e-gauhar hai
shikast zabt na kahiye use ye jauhar hai
usi ne dhoe hain daman ke dagh ai hamdam
usi ka aaj bhi patthar ke dil mein kuchh Dar hai
hadis-e-ranj-o-alam se Dara na ai naseh
hadis-e-ranj-o-alam hi to aaj ghar ghar hai
KHudaya is se zyaada hua to kya hoga
nizam-e-zist bahut aaj-kal mukaddar hai
sar-e-niyaz ki jis ko sada talash rahi
agar mile jo muqaddar se aap ka dar hai
tumhaare jalwe pe mauquf hai nizam-e-hayat
agarche tur ka qissa mujhe bhi azbar hai
fareb kha ke bhi wadon pe eatibar ai 'nur'
ajab shuur-e-wafa tera mere dilbar hai
Ghazal
Hamara ashk nahin hai ye qadr-e-gauhar hai
Noor Mohammad Noor