اردو हिंदी
Hama-shuma ko nahin dost hi ko bhul gaya | Shaahi Shayari
hama-shuma ko nahin dost hi ko bhul gaya

Ghazal

Hama-shuma ko nahin dost hi ko bhul gaya

Nazeer Meeruthy

;

hama-shuma ko nahin dost hi ko bhul gaya
na bhulna tha jise wo usi ko bhul gaya

tawangari ne badal hi diya hai us ka mizaj
wo mujh ko aur meri dosti ko bhul gaya

kami to mai ki nahin thi magar mera saqi
kisi ko jam diya aur kisi ko bhul gaya

itaaten hi to jine ka ain maqsad hai
KHuda ka banda magar bandagi ko bhul gaya

wo meri jaan ka dushman hai jaanta tha main
mila jo hans ke to mein dushmani ko bhul gaya

qafas mein rahne ka sayyaad ye nahin matlab
qafas mein rah ke main parwaz hi ko bhul gaya

tamam-umr main shayad teri talash mein tha
tu mil gaya to main aawargi ko bhul gaya

safar tawil tha aur main thaka hua tha 'nazir'
lagan thi itni ki wamandagi ko bhul gaya