اردو हिंदी
Hama-tan jalwa-fishan mah-o-charaghan ki tarah | Shaahi Shayari
hama-tan jalwa-fishan mah-o-charaghan ki tarah

Ghazal

Hama-tan jalwa-fishan mah-o-charaghan ki tarah

Irfana Azeez

;

hama-tan jalwa-fishan mah-o-charaghan ki tarah
kaun aaya dil-e-pur-shauq mein mehman ki tarah

gunj uThi gham-kada-e-ruh mein us ki aawaz
KHwab mein bahte hue chashma-e-irfan ki tarah

zehn-e-fankar mein manind-e-shuur-e-naghma
safha-e-dil pe hai wo nazm ke unwan ki tarah

zau-fishan mere sanam-KHana-e-afkar mein hai
lab-e-masum koi lal-e-badaKHshan ki tarah

ahrman ban ke taaqub mein rahi zulmat-e-shab
chhup gaya koi meri ruh mein yazdan ki tarah

barhana-pa-o-sarasima thi tauqir-e-bashar
wo mere sath raha azmat-e-insan ki tarah

mizha aaluda-ba-KHun chashm-e-tamanna KHun-bar
sina-e-dahr mein hun zaKHm-e-numayan ki tarah

ai mere ham-dam-e-dil-gir dua de mujh ko
us ke qadmon pe rahun shaKH-e-gul-afshan ki tarah

jal uThi sham-e-tamanna sar-e-mehrab-e-visal
kaun aata hai ye KHurshid-e-farozan ki tarah