hama-jihat meri talab jis ki misal ab nahin
tera KHayal hai magar apna KHayal ab nahin
shauq ka bahr-e-be-karan mahw-e-sukut-e-jawedan
is mein na koi josh ab is mein ubaal ab nahin
gham ki zamin pe aasman baqi raha na ai miyan
dil ki ye sogwariyan ru-ba-zawal ab nahin
ab na harim-e-naz se hoga tulu aaftab
qurb-e-jamal to gaya lutf-e-visal ab nahin
dur hai rah habib ki baat ye hai nasib ki
jina muhaal ho gaya marna muhaal ab nahin
raqs-kunan hai wan hawas us pe rahi na dastaras
husn-e-malih sakin-e-shahr-e-jamal ab nahin
tere karam pe ji rahi kab se hai meri kaj-rawi
koi jawab ab nahin koi sawal ab nahin
le ke nai nai ghazal aa hi gae 'farid' ab
sun ai charagh-e-anjuman tera zawal ab nahin
Ghazal
Hama-jihat meri talab jis ki misal ab nahin
Fareed Parbati