hum zindagi-shanas the sab se juda rahe
basti mein haul aaya to jangal mein ja rahe
kamre mein mere dhup ka aana ba-waqt-e-subh
aankhon mein kash ek hi manzar basa rahe
phir aaj mere dard ne mujh ko mana liya
koi kisi aziz se kab tak KHafa rahe
kab tak kisi paDaw pe wahshat kare qayam
kab tak kisi ke hijr ka saya ghana rahe
baba ye mujh haqir ko itni baDi dua
tu baat ka dhani hai tera qad siwa rahe
'shahpar' sada-e-waqt se kar lo musalahat
mahrumiyon ke dar pe koi kyun paDa rahe
Ghazal
Hum zindagi-shanas the sab se juda rahe
Shehpar Rasool