hum zist ki maujon se kinara nahin karte
sahil se samundar ka nazara nahin karte
har shoaba-e-hasti hai talabgar-e-tawazun
resham se kabhi TaT sanwara nahin karte
dariya ko samajhne ki tamanna hai to phir kyun
dariya ke kinare se kinara nahin karte
dastak se ilaqa raha kab shish-mahal ko
KHwabida samaat ko pukara nahin karte
hum fart-e-masarrat mein kahin jaan se nahin jaen
is KHauf se wo zikr hamara nahin karte
hum un ke taghaful ko samajhte to hain lekin
duniya bhi samajh le ye gawara nahin karte
zulmat se hi kuchh nur nichoDo ki hum 'arshad'
mange ke ujale pe guzara nahin karte
Ghazal
Hum zist ki maujon se kinara nahin karte
Arshad Kamal