ham-zamiron se jo bhaTkae wo eazaz na de
shauq se tu mujhe ab quwwat-e-pardaz na de
daere TuT na jaen mere KHwabon ke kahin
so gaya hun mujhe ab koi bhi aawaz na de
tujh ko dena hai agar talKHi-e-anjam ka zahr
dene wale mujhe KHush-fahmi-e-aghaz na de
raaz-daron ka kaha man ke ye haal hua
mashwara koi mujhe ab mera hamraaz na de
ya fazaon ko muhit-e-mah-o-KHurshid na kar
ya meri fikr ko tu jurat-e-parwaz na de
ya zamane ko tu mahrum-e-samaat kar de
ya mujhe dard mein Dubi hui aawaz na de
Ghazal
Ham-zamiron se jo bhaTkae wo eazaz na de
Murtaza Birlas