hum zamane mein mohabbat ke bhikari Thahre
dost hain sab ke magar dushman-e-jaan hain apne
aaj ki raat kahin shoala-e-gul hi bhaDke
jaane kal subh kahan honge hum uDte patte
jaan-e-man ab ke ye aadab hain tere kaise
bankpan meri ghazal ka teri mahfil mein luTe
wo saba hai to rahe kis liye gulshan se pare
ye shab-e-gul hai to kyun sej pe kanTon ke kaTe
kyun phire dasht mein diwane hue kis ke liye
hum ko malum nahin puchhiye un aankhon se
mar chukin kab ki tamannaen sisak kar lekin
dil ki diwar se raaton ko koi sar paTke
kahin manzil se bhaTak jae na diwana-e-gul
jada-e-shahr-e-bahaaran mein bichha do kanTe
Dal dil khol ke in TuTe hue shishon mein
sang aae hain bahut rah mein hum par pyare
ye teri yaad ka aalam shab-e-tanhai mein
jaise lahra ke kiran kali ghaTa se chhuTe
in bhari rahon mein sab mere hain main kis ka hun
dun sada kis ko lage kaun kaleje se mere
kaun utrega mere dil ke gulistanon mein
kaun guzrega mere chehre ke sahraon se
rakh is ghar mein wo uDti hai ki jaise 'hashami'
taq mein shama na thi sahn mein mahtab na the

Ghazal
Hum zamane mein mohabbat ke bhikari Thahre
Jaleel Hashmi