ham-zad hai gham apna shadan kise kahte hain
waqif nahin ishrat ka saman kise kahte hain
bimar-e-mohabbat hain hum tarik-e-rahat hain
na-waqif-e-sehat hain darman kise kahte hain
muddat se ye saman hai tan shoala-e-uryan hai
kya chiz gareban hai daman kise kahte hain
mathe pe pasina hai qudrat ka tamasha hai
taron ki jhamak kya hai afshan kise kahte hain
dil de ke jafa sahiye aafat mein phanse rahiye
dana jo hamein kahiye nadan kise kahte hain
jab yar ne dekha hai ek zaKHm lagaya hai
sau tiron ka dasta hai mizhgan kise kahte hain
us turk ki palkon se mahfuz KHuda rakkhe
bar kaTte hain tiron ki paikan kise kahte hain
dil ki jo zaraat hai KHar-o-KHas-e-zahmat se
ek qatre ki hasrat hai baran kise kahte hain
sach kahte hain ye zirak hai ishq-e-junun be-shak
waqif na the hum gul tak zindan kise kahte hain
har-waqt hai be-zari har dam hai jafakari
dil-jui-o-dildari-e-jaanan kise kahte hain
ruKHsar ka shaida hun kya gul ko samajhta hun
mahw-e-KHat-e-zeba hun raihan kise kahte hain
muddat se hai dil barham sohbat se nahin mahram
aazad hain ghar se hum mehman kise kahte hain
jate hain kabhi dargah shiwale mein bhi hai rah
mazhab se nahin aagah iman kise kahte hain
haidar se tawalla hai rahmat ka bharosa hai
ai 'bahr' KHata kya hai isyan kise kahte hain
Ghazal
Ham-zad hai gham apna shadan kise kahte hain
Imdad Ali Bahr