hum yun hi kisi se KHalish-e-jaan nahin kahte
rudad-e-alam ta-had-e-imkan nahin kahte
jo apne faraez se nipaTne mein ulajh jae
hum log use zulf-e-pareshan nahin kahte
karte hi nahin baat kabhi maslahat-amez
makruh ruKHon ko mah-e-taban nahin kahte
ab aise baDe log zamane mein kahan hain
jo kar ke kisi par koi ehsan nahin kahte
jo sham ho anwar-e-shahadat se munawwar
us sham ko hum sham-e-ghariban nahin kahte
tanqid mein karte hain jo insaf se parhez
dar-asl 'qadir' un ko suKHan-dan nahin kahte

Ghazal
Hum yun hi kisi se KHalish-e-jaan nahin kahte
M. A. Qadeer