اردو हिंदी
Hum ye to nahin kahte ki gham kah nahin sakte | Shaahi Shayari
hum ye to nahin kahte ki gham kah nahin sakte

Ghazal

Hum ye to nahin kahte ki gham kah nahin sakte

Bahadur Shah Zafar

;

hum ye to nahin kahte ki gham kah nahin sakte
par jo sabab-e-ghum hai wo hum kah nahin sakte

hum dekhte hain tum mein KHuda jaane buto kya
is bhed ko allah ki qasam kah nahin sakte

ruswa-e-jahan karta hai ro ro ke hamein tu
hum tujhe kuchh ai dida-e-nam kah nahin sakte

kya puchhta hai hum se tu ai shoKH sitamgar
jo tu ne kiye hum pe sitam kah nahin sakte

hai sabr jinhen talKH-kalami ko tumhaari
sharbat hi batate hain sam kah nahin sakte

jab kahte hain kuchh baat rukawaT ki tere hum
ruk jata hai ye sine mein dam kah nahin sakte

allah re tera rob ki ahwal-e-dil apna
de dete hain hum kar ke raqam kah nahin sakte

tuba-e-bahishti hai tumhaara qad-e-rana
hum kyunkar kahen sarw-e-iram kah nahin sakte

jo hum pe shab-e-hijr mein us mah-liqa ke
guzre hain 'zafar' ranj o alam kah nahin sakte