hum wahi nadan hain jo KHwabon ko dhar kar tak par
jagte hi roz rakh deta hai KHud ko chaak par
dil wo dariya hai jise mausam bhi karta hai tabah
kis tarah ilzam dhar den hum kisi tairak par
hum to us ke zehn ki uryaniyon par mar miTe
dad agarche de rahe hain jism aur poshak par
hum ba-KHubi jaante hain bas hamare jate hi
kaise kaise gul khilenge us badan ki KHak par
baat aur bewhaar hi se jaan sakte hain ise
ilm ki imla likhi jati nahin poshak par
Ghazal
Hum wahi nadan hain jo KHwabon ko dhar kar tak par
Navin C. Chaturvedi