hum us ke samne husn-o-jamal kya rakhte
jo be-misal hai us ki misal kya rakhte
jo bewafai ko apna hunar samajhta hai
hum us ke aage wafa ka sawal kya rakhte
hamara dil kisi jagir se nahin arzan
hum us ke samne mal-o-manal kya rakhte
use to rishte nibhane ki aarzu hi nahin
phir us ki ek nishani sambhaal kya rakhte
jo dil pe choT lagane mein KHub mahir hai
hum us ke samne apna kamal kya rakhte
hamare zarf ka logon ne imtihan liya
zara si baat ka dil mein malal kya rakhte
jo apne dil se 'iram' ko nikal baiTha hai
hum us ke samne hijr-o-visal kya rakhte
Ghazal
Hum uske samne husn-o-jamal kya rakhte
Erum Zehra