hum unhen dard-e-dil sunate hain
wo faqat han mein han milate hain
apne wadon ko bhul jate hain
bewafa wo hamein batate hain
jin ke kirdar mein hain dagh kai
wo hamein aaina dikhate hain
sath dete nahin kisi ka bhi
sath sab ke nazar jo aate hain
jis ki fitrat ko jaante hain hum
us se ummid kyun lagate hain
jin andheron se Dar rahe ho tum
wo ujalon se KHauf khate hain
in charaghon ka hausla dekho
aandhiyon ko ye munh chiDhate hain
dil mein pal jae jo ghalat-fahmi
KHun ke rishte bhi TuT jate hain
hum ne dekha 'jijiwisha' aksar
na-KHuda kashtiyan Dubaate hain
Ghazal
Hum unhen dard-e-dil sunate hain
meenakshi jijivisha