hum un se kar gae hain kinara kabhi kabhi
dil ho gaya hai jaan se pyara kabhi kabhi
raaton ki KHamushi mein mere dil pe rakh ke hath
leti hai kaenat sahaara kabhi kabhi
is tarah bhi wo aate hain aaghosh-e-shauq mein
girta hai jaise TuT ke tara kabhi kabhi
main ne jahan-e-shauq ko be-jazba-e-numud
apne hi dekhne ko sanwara kabhi kabhi
jis tarah sarsarae chaman mein shamim-e-gul
is tarah us ne mujh ko pukara kabhi kabhi
ab koi kya kare jo ba-sad sai-e-zabt-e-raaz
aa jae lab pe nam tumhaara kabhi kabhi
ab ahl-e-shahr kis liye 'shadan' se hain KHafa
aata hai shahr mein wo bechaara kabhi kabhi
Ghazal
Hum un se kar gae hain kinara kabhi kabhi
Shadan Indauri